Khilona chahta tha.

Dhoonda tumne mujhe us waqt jab main kudh khona chahta tha
ke ansoo bhi sookh gaye us ghadhi jab main rona chahta tha

Jawaan dilon se khel to koi ajab baat nahin is zamaane mein,
zindagi kheli mujhse, jab bachpan mein main ik khilona chahta tha

bina neend bhi kuchchh the khwaab jin mein kashmakash hi thi
hosh sambhali to jana, kisi aur haal mein paida hona chahta tha

justajoo thi behad uski dil ko, ik jhalak si thi jiski ki zehan mein
jab jana ke bas khwaab mein mile gi to main bhi sona chahta tha

phir bhi jane kyun kaT-te rahe din, mushkil ratein bhi ghuzarti rahi
baadal bhi dhoka de gaye jab main khud ko bhigona chahta tha

 manzil thi door aur kameyabi ka ailaan waqt se pehle kiya "Anmol"
 woh to ek dastaan nikli jise mehz ek nagme mein parona chahta tha.

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

0 comments:

Post a Comment