Jiwan

Kuch ishq tha kuch majburi thi so main ne jiwan war diya
main kaisa zinda admi tha ik shakhs ne mujh ko mar diya

ye saja sajaya ghar saqi meri zat nahin mera hal nahin
ai kash kabhi tum jan sako jo us sukh ne azar diya

main khuli hui ik sachai mujhe janane wale jante hain
main ne kin logon se nafrat ki aur kin logon se pyar kiya

wo ishq bahut mushkil tha magar asan na tha yun jina bhi
us ishq ne zinda rahne ka mujhe zarf diya pindar diya

ik sabz shakh gulab ki tha ik duniya apne pyar ki tha
wo ek bahar jo ai nahin us k liye sab kuch har diya

main rota hun aur asman se tare tutate dekhta hun
un logon par jin logon ne mere logon ko azar diya

wo yar hon ya mahbub mere ya kabhi kabhi milne wale
ik lazzat sab k milne main wo zakhm diya ya pyar diya

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

0 comments:

Post a Comment