Badan mein aag si...(By AHMAD FARAZ)

Badan main aag si chehra gulaab jaisa hai  
Ke zehar-e-gam kaa nashaa bhi sharaab jaisa hai...

 

Kahaan wo qurb ke ab to ye haal hai jaise  
Tere firaaq kaa aalam bhi khwaab jaisa hai 

 
Magar kabhi koi dekhe koi parhe to sahi  
Dil aainaa hai to cheharaa kitaab jaisa hai 
 
Wo saamne hai magar tishnagi nahin jaati  
Ye kyaa sitam hai ke dariya saraab jaisa hai 
 
'Faraz' sang-e-malaamat se zakhm zakhm sahi  
Hamain aziz hai khaanaakharaab jaisa hai (AHMAD FARAZ)

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

0 comments:

Post a Comment